Thursday, 27 October 2016

bulandi der tak

bulandi der tak kis sakhs ke hisse me rehti hai.
bohot unchi imarat har ghadi khatre me rehti hai.
ye aisa karz hai jo me ada kar hi nahi sakta.
me jab tak ghar na lotu meri maa sajde me rehti hai.

Sunday, 16 October 2016

dosti

Utra Huwa Gulaab Ka Chehra Na Padh Sake, Wo Dost Kya Jo Dost Ka Likha Na Padh Sake, Chaahe Kisi Bhi Bhasha Mein Likhe Krishn ke Khat, Mumkin Nahi Ki Usko Sudaama Na Padh Sake…

woh ghazal padne me lagta bhi ghazal jaisa tha.


Woh ghazal padhne mein lagta bhi ghazal jaisa tha,
sirf ghazlen nahin lehja bhi ghazal jaisa tha.
Waqt ne chehre ko bakhshi hai kharaashen warna,
kuchh dinon pehle ye chehra bhi ghazal jaisa tha.
Tum se bichchda toh pasand aa gayi betarteebi,
iss se pehle mera kamra bhi ghazal jaisa tha.
Koi mausam bhi bichchad kar humein achchha na
laga,
waise paani ka barasna bhi ghazal jaisa tha.
Neem ka ped tha, barsaat thi aur jhoola tha,
gaaon mein guzra zamana bhi ghazal jaisa tha.
Woh bhi kya din the tere paaon ki aahat sun kar,
dil ka seene mein dhadakna bhi ghazal jaisa tha.
Ek ghazal dekhti rehti thi dareeche se mujhe,
sochta hun woh zamana bhi ghazal jaisa tha.
Kuchh tabiyat bhi ghazal kehne pe amaada thi,
kuchh tera phoot ke rona bhi ghazal jaisa tha.
Mera bachpan tha, mera ghar tha, khilone the mere,
sar par maa-baap ka saaya bhi ghazal jaisa tha.
Narm-o-naazuk sa, bahut shokh sa, sharmeela sa,
kuchh dinon pehle toh ‘rana’ bhi ghazal jaisa tha.!!!

Tuesday, 11 October 2016

wo jo shayar tha

imarti jock

jahaj khud nahi chalte khuda chalata hai

Samandaron ke safar mein hawaa chalata hai
Jahaaz khud nahin chalte, khuda chalata hai
Tujhe khabar nahin mele mein ghoomne waale
Teri dukaan koi doosraa chalata hai
Ye log paaun nahin zehen se apahij hain
Udhar chalenge jidhar rehnuma chalata hai
Ham apne budhe charagon pe khoob itraye
Aur us ko bhool gaye jo hawaa chalata hai

jagne ki bhi jagane ki bhi adat ho jaye.

जागने की भी, जगाने की भी, आदत हो जाए
काश तुझको किसी शायर से मोहब्बत हो जाए
दूर हम कितने दिन से हैं, ये कभी गौर किया
फिर न कहना जो अमानत में खयानत हो जाए
Jagne ki bhi jagane ki bhi aadat ho jaye
Kash tujh ko bhi kisi shayer se mohbbt ho jaye
Door hum kitne dinno se hain ye kabhi gaur kiya
Fir na kehna jo ayanat me khayanat ho jaye

kabhi girte to kabhi girke sambhalte rahte

woh mere pass aana chahata hai

Wo mere paas aana chahta hai.
Magar koi bahana chahta hai.
Yon hee uljha nahi hai paaon mera,
Koi mujhko girana chahta hai.
Sar e bazaar tujhko laane waala,
Tery kimat ghatana chahta hai.
Barabar me wo aaya to samjha,
Wo mujh se aage jaana chahata hai.
Junoon to dekh, us taare ka aye sab,
Wo tujhko din banana chahata hai.
Hawa us par nazar rakkhe hai or wo,
Chirago ko jalana chahta hai.
Naeem us ka bigadega koe kya,
Khuda jisko banana chahata hai.
BY : Naeem Akhtar

Saturday, 1 October 2016

a zameen aik din hum teri khurak ho jayege

malenge mitti tan par paak ho jayenge hum..ii
aye zameen aik din teri khurak ho jayenge hum..!!

usme ayega tera naam

zindagi hai nadan isliye choop hoon..
dard hi dard hai subho sham isliye choop hoon..
keh doon dastane ghum zamane se magar..
usme aayega tera naam isliye choop hoon..!! shahid khan